Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ejaz Obaid

  • Ghazal


koi ho chehra shanasa dikhai deta hai


koī ho chehra shanāsā dikhā.ī detā hai
har ik meñ ek hī mukhḌā dikhā.ī detā hai

usī shajar pe shafaq kā karam hai shāyad aaj
vo ik shajar jo sunahrā dikhā.ī detā hai

udhar vo dekho ki ākāsh kitnā dilkash hai
jahāñ vo dhartī se miltā dikhā.ī detā hai

dikhā.eñ tum ko ġhurūb āftāb kā manzar
yahāñ ufuq kā kināra dikhā.ī detā hai

vahī to hai jo mirī justujū kī manzil hai
koī bhī shaḳhs jo mujh sā dikhā.ī detā hai

koi ho chehra shanasa dikhai deta hai
har ek mein ek hi mukhDa dikhai deta hai

usi shajar pe shafaq ka karam hai shayad aaj
wo ek shajar jo sunahra dikhai deta hai

udhar wo dekho ki aakash kitna dilkash hai
jahan wo dharti se milta dikhai deta hai

dikhaen tum ko ghurub aaftab ka manzar
yahan ufuq ka kinara dikhai deta hai

wahi to hai jo meri justuju ki manzil hai
koi bhi shaKHs jo mujh sa dikhai deta hai


Leave a comment

+