Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ejaz Obaid

  • Ghazal


abhi tamam aainon mein zarra zarra aab hai


abhī tamām ā.inoñ meñ zarra zarra aab hai
ye kis ne tum se kah diyā ki zindagī ḳharāb hai

na jaane aaj ham pe pyaas kā ye kaisā qahr hai
ki jis taraf bhī dekhiye sarāb hī sarāb hai

har ek raah meñ miTe mai-e-nuqūsh-e-ārzū
har ik taraf thakī thakī sī rahguzār ḳhvāb hai

kabhī na dil ke sāgaroñ meñ tum utar sake magar
mire liye mirā vajūd ik khulī kitāb hai

har ek samt ret ret par havā ke naqsh haiñ
yahāñ to dasht dasht meñ havāoñ kā azaab hai

abhi tamam aainon mein zarra zarra aab hai
ye kis ne tum se kah diya ki zindagi KHarab hai

na jaane aaj hum pe pyas ka ye kaisa qahr hai
ki jis taraf bhi dekhiye sarab hi sarab hai

har ek rah mein miTe mai-e-nuqush-e-arzu
har ek taraf thaki thaki si rahguzar KHwab hai

kabhi na dil ke sagaron mein tum utar sake magar
mere liye mera wajud ek khuli kitab hai

har ek samt ret ret par hawa ke naqsh hain
yahan to dasht dasht mein hawaon ka azab hai


Leave a comment

+