Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ejaz Gul

  • Ghazal


chal raha hun pesh-o-pas-manzar se uktaya hua


chal rahā huuñ pesh-o-pas-manzar se uktāyā huā
ek se din raat ke chakkar se uktāyā huā

be-dilī hoshyār pahuñchī mujh se pahle thī vahāñ
meñ gayā jis anjuman meñ ghar se uktāyā huā

ho nahīñ paayā hai samjhauta kabhī donoñ ke biich
jhuuT andar se hai sach bāhar se uktāyā huā

ab muzayyan hai talaffuz se avāmunnās ke
sher sarf-o-nahv ke chakkar se uktāyā huā

ḳhvāhish-e-ījād hai apne ma.ānī kī use
lag rahā ye fe.al hai masdar se uktāyā huā

chubh rahe haiñ aañkh meñ ḳhvāb-e-pareshāñ raft ke
jism hai is niiñd ke bistar se uktāyā huā

umr lekin rā.egāñ kī us ke jamā o ḳharch meñ
thā hamesha zehn chīze-zar se uktāyā huā

aaj phir paḌhtā huuñ maktab meñ na.e ustād se
kal thā jin asbāq ke azbar se uktāyā huā

zaat apnī in meñ rakhtā huuñ barābar munqasim
dil mirā hai bahs-e-ḳhair-o-shar se uktāyā huā

chal raha hun pesh-o-pas-manzar se uktaya hua
ek se din raat ke chakkar se uktaya hua

be-dili hoshyar pahunchi mujh se pahle thi wahan
mein gaya jis anjuman mein ghar se uktaya hua

ho nahin paya hai samjhauta kabhi donon ke bich
jhuT andar se hai sach bahar se uktaya hua

ab muzayyan hai talaffuz se awamunnas ke
sher sarf-o-nahw ke chakkar se uktaya hua

KHwahish-e-ijad hai apne maani ki use
lag raha ye feal hai masdar se uktaya hua

chubh rahe hain aankh mein KHwab-e-pareshan raft ke
jism hai is nind ke bistar se uktaya hua

umr lekin raegan ki us ke jama o KHarch mein
tha hamesha zehn chize-zar se uktaya hua

aaj phir paDhta hun maktab mein nae ustad se
kal tha jin asbaq ke azbar se uktaya hua

zat apni in mein rakhta hun barabar munqasim
dil mera hai bahs-e-KHair-o-shar se uktaya hua


Leave a comment

+