nigāh-e-shauq ko ruḳh par nisār hone do
ye rañg lā.egī kyā kyā bahār hone do
rahīn-e-jazba-e-be-iḳhtiyār hone do
jo ho rahā hai koī be-qarār hone do
dil-e-hazīñ ko mire jalva-zār hone do
ḳhizāñ-nasīb chaman meñ bahār hone do
dil-e-firāq-zada meñ qarār hone do
dam-e-ajal to nigāhoñ ko chaar hone do
karishme dekhnā mar mar ke jiine vāloñ ke
tum apne kūche meñ merā mazār hone do
tum apne va.adoñ kī iifā karo umiid nahīñ
jahāñ meñ husn ko be-e'tibār hone do
shab-e-firāq meñ lo chal basā tumhārā 'tāj'
qayām-e-hashr tak ab intizār hone do
nigah-e-shauq ko ruKH par nisar hone do
ye rang laegi kya kya bahaar hone do
rahin-e-jazba-e-be-iKHtiyar hone do
jo ho raha hai koi be-qarar hone do
dil-e-hazin ko mere jalwa-zar hone do
KHizan-nasib chaman mein bahaar hone do
dil-e-firaq-zada mein qarar hone do
dam-e-ajal to nigahon ko chaar hone do
karishme dekhna mar mar ke jine walon ke
tum apne kuche mein mera mazar hone do
tum apne wadon ki ifa karo umid nahin
jahan mein husn ko be-e'tibar hone do
shab-e-firaq mein lo chal basa tumhaara 'taj'
qayam-e-hashr tak ab intizar hone do
Leave a comment