Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ejaz Gul

  • Ghazal


usi jannat jahannam mein marunga


usī jannat jahannam meñ marūñgā
ga.e mausam ko āvāzeñ na dūñgā

na.e jismoñ se maqtal jāgte haiñ
na.e logoñ ke raste par chalūñgā

mirī āñkheñ salāmat haiñ to phir maiñ
parā.e ḳhvāb le kar kyā karūñgā

lahū kī surḳhiyāñ mere alam haiñ
ḳhizāñ ke zard lashkar se laḌūñgā

kisī ḳhitte meñ qatl-e-raushnī ho
maiñ apne shahr par nauha kahūñgā

aur us par jo sitam TūTegā us ko
tumhāre naam likkhūñgā sahūñgā

usi jannat jahannam mein marunga
gae mausam ko aawazen na dunga

nae jismon se maqtal jagte hain
nae logon ke raste par chalunga

meri aankhen salamat hain to phir main
parae KHwab le kar kya karunga

lahu ki surKHiyan mere alam hain
KHizan ke zard lashkar se laDunga

kisi KHitte mein qatl-e-raushni ho
main apne shahr par nauha kahunga

aur us par jo sitam TuTega us ko
tumhaare nam likkhunga sahunga


Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)

Leave a comment

+