Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ejaz Ansari

  • Ghazal


sab kuchh karobari hai


sab kuchh kārobārī hai
lahja tak bāzārī hai

chehroñ par chehroñ kā bojh
kaisī duniyā-dārī hai

kahte haiñ āsān hai sab
karne meñ dushvārī hai

rishte-nāte rasm-o-rivāj
diin se duniyā bhārī hai

ham haiñ duur siyāsat se
ham ko izzat pyārī hai

us ko pā kar ḳhud kho jā.ūñ
kaisī ye bīmārī hai

hai mash.hūr bhī rusvā bhī
vo 'ejāz' ansārī hai

sab kuchh karobari hai
lahja tak bazari hai

chehron par chehron ka bojh
kaisi duniya-dari hai

kahte hain aasan hai sab
karne mein dushwari hai

rishte-nate rasm-o-riwaj
din se duniya bhaari hai

hum hain dur siyasat se
hum ko izzat pyari hai

us ko pa kar KHud kho jaun
kaisi ye bimari hai

hai mashhur bhi ruswa bhi
wo 'ejaz' ansari hai


Source:

Leave a comment

+