tanhā.ī kā rog na paal
ghar se bāhar paaoñ nikāl
jin meñ ho zahrīlā-pan
aisī bāteñ hañs kar Taal
shahr meñ vahshī aa.e haiñ
chal jañgal meñ Derā Daal
andar se haiñ bikhre bikhre
aur bāhar se sab ḳhush-hāl
āñkheñ sab kī fikr-zada
kaise bītegā ye saal
'tālib' pyaas bujhe kaise
ek nadī aur sau ghaḌiyāl
tanhai ka rog na pal
ghar se bahar paon nikal
jin mein ho zahrila-pan
aisi baaten hans kar Tal
shahr mein wahshi aae hain
chal jangal mein Dera Dal
andar se hain bikhre bikhre
aur bahar se sab KHush-haal
aankhen sab ki fikr-zada
kaise bitega ye sal
'talib' pyas bujhe kaise
ek nadi aur sau ghaDiyal
Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab
Leave a comment