chale the ghar se to ham dard kī davā ke liye
paḌe haiñ raste meñ tere magar duā ke liye
mabādā shab kī siyāhī zamīñ ko khā jaa.e
naqāb ruḳh se uThā do zarā ḳhudā ke liye
koī charāġh to āñdhī se bach ke niklegā
jalā diye haiñ bahut se diye havā ke liye
yahāñ to roz na.ī āfatoñ se paalā hai
'husain' kitne ab ā.eñge karbalā ke liye
vo jis ne tuur pe muusā ko be-qarār kiyā
taḌap rahī hai nazar phir usī adā ke liye
zamīñ kā siina to sho.aloñ kī misl jaltā rahā
taras ke chal diye 'ejāz' ik ghaTā ke liye
chale the ghar se to hum dard ki dawa ke liye
paDe hain raste mein tere magar dua ke liye
mabaada shab ki siyahi zamin ko kha jae
naqab ruKH se uTha do zara KHuda ke liye
koi charagh to aandhi se bach ke niklega
jala diye hain bahut se diye hawa ke liye
yahan to roz nai aafaton se pala hai
'husain' kitne ab aaenge karbala ke liye
wo jis ne tur pe musa ko be-qarar kiya
taDap rahi hai nazar phir usi ada ke liye
zamin ka sina to shoalon ki misl jalta raha
taras ke chal diye 'ejaz' ek ghaTa ke liye
Source: Book : Shora-e-London (Pg. 27) Author : Jauhar Zahiri Publication : Books From India (U.K) Ltd. 45, Museum Street,Londan W.C-1 (1985) Edition : 1985
Leave a comment