Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yaqoob Rahi

  • Ghazal


hawa-e-subh-e-numu dushman-e-chaman kaise


havā-e-sub.h-e-numū dushman-e-chaman kaise
shikār-e-rashk-o-raqābat gul-o-saman kaise

hisār-e-shām-o-sahar aur zabt-e-ahl-e-nafas
nizām-e-jabr meñ bebas ye mard-o-zan kaise

na koī baat huī aur na koī dil hī dukhā
bujhe bujhe se ye shurakā-e-anjuman kaise

na koī haath uThā aur na koī zer huā
to phir batāo ki ye chaak pairahan kaise

khule to kis pe khule rañg-e-e.atibār-e-suḳhan
ye sāhibān-e-nazar bad-gumān-e-fan kaise

hawa-e-subh-e-numu dushman-e-chaman kaise
shikar-e-rashk-o-raqabat gul-o-saman kaise

hisar-e-sham-o-sahar aur zabt-e-ahl-e-nafas
nizam-e-jabr mein bebas ye mard-o-zan kaise

na koi baat hui aur na koi dil hi dukha
bujhe bujhe se ye shuraka-e-anjuman kaise

na koi hath uTha aur na koi zer hua
to phir batao ki ye chaak pairahan kaise

khule to kis pe khule rang-e-eatibar-e-suKHan
ye sahiban-e-nazar bad-guman-e-fan kaise


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+