Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ehtisham Hasan

  • Ghazal


baiTh kar ek Dal par filhaal


baiTh kar ek Daal par filhāl
ai parinde nikāl par filhāl

baat dekheñ kahāñ pahuñchtī hai
zor hai hāl-chāl par filhāl

dukh samajhnā paḌegā bachche kā
pahlā aañsū hai gaal par filhāl

fikr-e-nān-e-javīñ kā ġhalba hai
apne har ik ḳhayāl par filhāl

Dhal gayā hai uruuj kā mausam
hai bulandī zavāl par filhāl

us kī anmol chāhatoñ kā udhār
hai mire baal baal par filhāl

ham to chhoḌ aa.e the chaman terā
kaun hai dekh-bhāl par filhāl

ik parinde ne dūsre se kahā
chal utarte haiñ jaal par filhāl

dhaḌkaneñ muñh ko aa rahī haiñ 'hasan'
dil nahīñ e'tidāl par filhāl

baiTh kar ek Dal par filhaal
ai parinde nikal par filhaal

baat dekhen kahan pahunchti hai
zor hai haal-chaal par filhaal

dukh samajhna paDega bachche ka
pahla aansu hai gal par filhaal

fikr-e-nan-e-jawin ka ghalba hai
apne har ek KHayal par filhaal

Dhal gaya hai uruj ka mausam
hai bulandi zawal par filhaal

us ki anmol chahaton ka udhaar
hai mere baal baal par filhaal

hum to chhoD aae the chaman tera
kaun hai dekh-bhaal par filhaal

ek parinde ne dusre se kaha
chal utarte hain jal par filhaal

dhaDkanen munh ko aa rahi hain 'hasan'
dil nahin e'tidal par filhaal


Leave a comment

+