Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ehtisham Hasan

  • Ghazal


yun samaya hai ki ab sar se nikalne ka nahin


yuuñ samāyā hai ki ab sar se nikalne kā nahīñ
maiñ jo chāhūñ bhī to ik Dar se nikalne kā nahīñ

maiñ ne jo ḳhauf piroyā thā ragoñ meñ apnī
aisā baiThā hai ki andar se nikalne kā nahīñ

baad koshish ke natīja ye nikālā maiñ ne
zindagī maiñ tire chakkar se nikalne kā nahīñ

khīñch laate haiñ haqīqat meñ havādis varna
aadmī ḳhvāb ke mehvar se nikalne kā nahīñ

sar paTaḳhtā nahīñ pinjre meñ parinda yūñhī
shauq-e-parvāz kabhī par se nikalne kā nahīñ

ik saḌak aur mirā āTHvāñ dasvāñ chakkar
aur mujhe ilm hai vo ghar se nikalne kā nahīñ

apne andar yuuñ chhupā.e haiñ sanam patthar ne
but koī tesha-e-āzar se nikalne kā nahīñ

ġham-e-daurāñ bhī hai yuuñ jaise mirā yaum-e-hisāb
maiñ to duniyā meñ bhī mahshar se nikalne kā nahīñ

dhoñs detā hai ye sūraj mujhe har shaam 'hasan'
vo jo Duubā to samundar se nikalne kā nahīñ

yun samaya hai ki ab sar se nikalne ka nahin
main jo chahun bhi to ek Dar se nikalne ka nahin

main ne jo KHauf piroya tha ragon mein apni
aisa baiTha hai ki andar se nikalne ka nahin

baad koshish ke natija ye nikala main ne
zindagi main tere chakkar se nikalne ka nahin

khinch late hain haqiqat mein hawadis warna
aadmi KHwab ke mehwar se nikalne ka nahin

sar paTaKHta nahin pinjre mein parinda yunhi
shauq-e-parwaz kabhi par se nikalne ka nahin

ek saDak aur mera aaTHwan daswan chakkar
aur mujhe ilm hai wo ghar se nikalne ka nahin

apne andar yun chhupae hain sanam patthar ne
but koi tesha-e-azar se nikalne ka nahin

gham-e-dauran bhi hai yun jaise mera yaum-e-hisab
main to duniya mein bhi mahshar se nikalne ka nahin

dhons deta hai ye suraj mujhe har sham 'hasan'
wo jo Duba to samundar se nikalne ka nahin


Leave a comment

+