mirī hayāt ko be-rabt baab rahne de
varaq varaq yuuñ hī ġham kī kitāb rahne de
maiñ rāhgīroñ kī himmat bañdhāne vaalā huuñ
mire vajūd meñ shāmil sharāb rahne de
tabāh ḳhud ko maiñ kar luuñ badan ko chhū ke tire
tū apne lams kā mujh par azaab rahne de
zarā Thahar ki abhī ḳhuun meñ samā.ī nahīñ
mire qarīb badan kī sharāb rahne de
bhulā chukā huuñ maiñ sab kuchh dilā na yaad mujhe
jo kho chukā huuñ ab us kā hisāb rahne de
jalā liyā hai badan apnī aag meñ maiñ ne
bujhā na is ko abhī ye azaab rahne de
meri hayat ko be-rabt bab rahne de
waraq waraq yun hi gham ki kitab rahne de
main rahgiron ki himmat bandhane wala hun
mere wajud mein shamil sharab rahne de
tabah KHud ko main kar lun badan ko chhu ke tere
tu apne lams ka mujh par azab rahne de
zara Thahar ki abhi KHun mein samai nahin
mere qarib badan ki sharab rahne de
bhula chuka hun main sab kuchh dila na yaad mujhe
jo kho chuka hun ab us ka hisab rahne de
jala liya hai badan apni aag mein main ne
bujha na is ko abhi ye azab rahne de
Source: Shab Khoon(Shumara Number-054)
Leave a comment