mohabbatoñ ke na.e dā.eroñ meñ rahtā huuñ
ḳhatoñ ke matn se ab hāshiyoñ meñ rahtā huuñ
tamām jism hī āñkheñ kiye hai vo apnā
maiñ ek vaqt ka.ī ā.inoñ meñ rahtā huuñ
maiñ jaan jaan nichhāvar huuñ apnī miTTī par
vo sochte haiñ ki maiñ sāzishoñ meñ rahtā huuñ
qadam qadam pe balā.eñ haiñ mere hisse meñ
maiñ ḳhush-nasīb sadā sānehoñ meñ rahtā huuñ
maiñ ḳhaak ḳhaak uḌātā huuñ apnī miTTī kā
kahīñ maiñ ab bhī tirī bandishoñ meñ rahtā huuñ
mohabbaton ke nae daeron mein rahta hun
KHaton ke matn se ab hashiyon mein rahta hun
tamam jism hi aankhen kiye hai wo apna
main ek waqt kai aainon mein rahta hun
main jaan jaan nichhawar hun apni miTTi par
wo sochte hain ki main sazishon mein rahta hun
qadam qadam pe balaen hain mere hisse mein
main KHush-nasib sada sanehon mein rahta hun
main KHak KHak uData hun apni miTTi ka
kahin main ab bhi teri bandishon mein rahta hun
Leave a comment