mushāhida na koī tajraba na ḳhvāb koī
tamām sher-o-suḳhan harf-o-ijtināb koī
ik intizār-e-musalsal meñ din guzarte haiñ
ki aate aate na aa jaa.e inqalāb koī
tamām ahl-e-zamāna shikār-e-hirs-o-havas
kare to kaise kare apnā ehtisāb koī
na is qadar ġham-o-ġhussa ko pī ke rah jaanā
ki sabr-o-zabt kī aadat bane azaab koī
tamām umr savālāt pūchhne vaale
kise milā hai jo tujh ko mile javāb koī
mushahida na koi tajraba na KHwab koi
tamam sher-o-suKHan harf-o-ijtinab koi
ek intizar-e-musalsal mein din guzarte hain
ki aate aate na aa jae inqalab koi
tamam ahl-e-zamana shikar-e-hirs-o-hawas
kare to kaise kare apna ehtisab koi
na is qadar gham-o-ghussa ko pi ke rah jaana
ki sabr-o-zabt ki aadat bane azab koi
tamam umr sawalat puchhne wale
kise mila hai jo tujh ko mile jawab koi
Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab
Leave a comment