tū hī batā de jamāl-e-ma.anī tirā kareñ intizār kab tak
hayāt kā e'tibār ho bhī nigāh kā e'tibār kab tak
jahān-e-zulm-o-jafā ke mālik koī na ho ashk-bār kab tak
jo dil hī majbūr ho chukā ho to aañkh par iḳhtiyār kab tak
mileñge dāman se aa ke āḳhir mire garebāñ ke taar kab tak
koī batā.e ki ho sakegā mirā junūñ puḳhta-kār kab tak
jo kī kisī ne bhī purshish-e-ġham to chashm-e-majbūr ho ga.ī nam
magar dil-e-zabt-āzmā ke bayān meñ iḳhtisār kab tak
vo bād-e-sar-sar kī be-qarārī vo bijliyāñ aur vo sho.ala-bārī
bas ab qafas hī meñ mutma.in huuñ nazar ko shauq-e-bahār kab tak
ḳhizāñ ke be-kaif daur kā bhī mire garebāñ ye kuchh to haq hai
junūñ ko āḳhir banā.e rakkhūñ niyāz-mand-e-bahār kab tak
qadam qadam par sanam-kada hai nazar nazar meñ haram kā manzar
tajalliyāñ hī to haiñ ye āḳhir ba-qaid-e-dīdār-e-yār kab tak
tu hi bata de jamal-e-mani tera karen intizar kab tak
hayat ka e'tibar ho bhi nigah ka e'tibar kab tak
jahan-e-zulm-o-jafa ke malik koi na ho ashk-bar kab tak
jo dil hi majbur ho chuka ho to aankh par iKHtiyar kab tak
milenge daman se aa ke aaKHir mere gareban ke tar kab tak
koi batae ki ho sakega mera junun puKHta-kar kab tak
jo ki kisi ne bhi purshish-e-gham to chashm-e-majbur ho gai nam
magar dil-e-zabt-azma ke bayan mein iKHtisar kab tak
wo baad-e-sar-sar ki be-qarari wo bijliyan aur wo shoala-bari
bas ab qafas hi mein mutmain hun nazar ko shauq-e-bahaar kab tak
KHizan ke be-kaif daur ka bhi mere gareban ye kuchh to haq hai
junun ko aaKHir banae rakkhun niyaz-mand-e-bahaar kab tak
qadam qadam par sanam-kada hai nazar nazar mein haram ka manzar
tajalliyan hi to hain ye aaKHir ba-qaid-e-didar-e-yar kab tak
Leave a comment