Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ehsas Muradabadi

  • Ghazal


wo dard-e-dil bhi nahin chashm-e-KHun-fishan bhi nahin


vo dard-e-dil bhī nahīñ chashm-e-ḳhūñ-fishāñ bhī nahīñ
kabhī jo thā vo ab andāz-e-gulistāñ bhī nahīñ

ilāj-e-dard-e-mohabbat to kar nahīñ sakte
tumhāre qabze meñ kyā marg-e-nā-gahāñ bhī nahīñ

vo is maqām se guzre haiñ dil ye kahtā hai
jhukā hai sar ki jahāñ koī āstāñ bhī nahīñ

isī chaman meñ ka.ī baar sho.ale bhaḌke haiñ
mirī navā kā koī ab mizāj-dāñ bhī nahīñ

sukūt kitne marāhil ke ba.ad aatā hai
vo mutma.in haiñ mire lab pe ab fuġhāñ bhī nahīñ

ye aur baat qafas meñ guzār duuñ din-rāt
mirā maqām to varna ye gulistāñ bhī nahīñ

shab-e-firāq meñ andesha-e-sahar kaisā
ye vo zamīñ hai jahāñ koī āsmāñ bhī nahīñ

wo dard-e-dil bhi nahin chashm-e-KHun-fishan bhi nahin
kabhi jo tha wo ab andaz-e-gulistan bhi nahin

ilaj-e-dard-e-mohabbat to kar nahin sakte
tumhaare qabze mein kya marg-e-na-gahan bhi nahin

wo is maqam se guzre hain dil ye kahta hai
jhuka hai sar ki jahan koi aastan bhi nahin

isi chaman mein kai bar shoale bhaDke hain
meri nawa ka koi ab mizaj-dan bhi nahin

sukut kitne marahil ke baad aata hai
wo mutmain hain mere lab pe ab fughan bhi nahin

ye aur baat qafas mein guzar dun din-raat
mera maqam to warna ye gulistan bhi nahin

shab-e-firaq mein andesha-e-sahar kaisa
ye wo zamin hai jahan koi aasman bhi nahin


Leave a comment

+