yaad terī jo kabhī aatī hai bahlāne ko
aur dīvāna banā jaatī hai dīvāne ko
ham batā.eñge tumheñ shāna-o-gesū ke rumūz
ḳhatm kar lo haram-o-dair ke afsāne ko
us ko mahfil meñ jo dekhā tapish-e-ġham kā sharīk
le liyā sham.a ne āġhosh meñ parvāne ko
bāda-kash vā.iz-e-kaj-fahm se kyā bahs kareñ
us ne dekhā hai bahut duur se maiḳhāne ko
jab na ehsān rahegā na kahānī us kī
aap dohrā.eñge 'ehsān' ke afsāne ko
yaad teri jo kabhi aati hai bahlane ko
aur diwana bana jati hai diwane ko
hum bataenge tumhein shana-o-gesu ke rumuz
KHatm kar lo haram-o-dair ke afsane ko
us ko mahfil mein jo dekha tapish-e-gham ka sharik
le liya shama ne aaghosh mein parwane ko
baada-kash waiz-e-kaj-fahm se kya bahs karen
us ne dekha hai bahut dur se maiKHane ko
jab na ehsan rahega na kahani us ki
aap dohraenge 'ehsan' ke afsane ko
Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab
Leave a comment