ḳhayāl ke phuul khil rahe haiñ bahār ke giit gā rahā huuñ
tire tasavvur kī sarzamīñ par na.e gulistāñ khilā rahā huuñ
maiñ saare bārbād-kun ḳhayāloñ ko dil kā mehmāñ banā rahā huuñ
ḳhirad kī mahfil ujaḌ chukī hai junūñ kī mahfil sajā rahā huuñ
udhar hai āñkhoñ meñ ik sharārat idhar hai siine meñ ik chubhan sī
nazar se vo muskurā rahe haiñ jigar se maiñ muskurā rahā huuñ
mirī musībat ye kah rahī hai ḳhudā mujhe aazmā rahā hai
mirī ibādat ye kah rahī hai ḳhudā ko maiñ aazmā rahā huuñ
ḳhudī ke māthe pe dāġh-e-sajda havas ke chehre pe tīrgī hai
maiñ ek ā.īna le ke donoñ ko duur hī se dikhā rahā huuñ
liyā na dil ne mire sahārā ubhartī maujoñ kā shorishoñ kā
maiñ apnī is kashtī-e-shikasta kā aap hī nā-ḳhudā rahā huuñ
mile na merī ġhazal meñ kyūñkar shu.ūr-e-hastī surūr-e-mastī
'jamīl' ke mai-kade se 'ehsāñ' sharāb-e-idrāk pā rahā huuñ
KHayal ke phul khil rahe hain bahaar ke git ga raha hun
tere tasawwur ki sarzamin par nae gulistan khila raha hun
main sare barbaad-kun KHayalon ko dil ka mehman bana raha hun
KHirad ki mahfil ujaD chuki hai junun ki mahfil saja raha hun
udhar hai aankhon mein ek shararat idhar hai sine mein ek chubhan si
nazar se wo muskura rahe hain jigar se main muskura raha hun
meri musibat ye kah rahi hai KHuda mujhe aazma raha hai
meri ibaadat ye kah rahi hai KHuda ko main aazma raha hun
KHudi ke mathe pe dagh-e-sajda hawas ke chehre pe tirgi hai
main ek aaina le ke donon ko dur hi se dikha raha hun
liya na dil ne mere sahaara ubharti maujon ka shorishon ka
main apni is kashti-e-shikasta ka aap hi na-KHuda raha hun
mile na meri ghazal mein kyunkar shuur-e-hasti surur-e-masti
'jamil' ke mai-kade se 'ehsan' sharab-e-idrak pa raha hun
Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab
Leave a comment