baat ab aa.ī samajh meñ ki haqīqat kyā thī
ek jazbāt kī shiddat thī mohabbat kyā thī
ab ye jaanā ki vo din-rāt ke shikve kyā the
ab ye mālūm huā vaj.h-e-shikāyat kyā thī
koī ik shoḳh ishāra hī bahut thā ai dost
itne sanjīda tabassum kī zarūrat kyā thī
ma.azarat thī vo faqat apnī ġhalat-bīnī kī
jis pe nāzāñ the bahut ham vo basīrat kyā thī
halqa-e-zulf-e-rasā us ke liye kaafī thā
tere dīvāne ko zanjīr kī hājat kyā thī
ye usī kā hai natīja ki tahī-dast rahe
har khilaune pe lapakne kī zarūrat kyā thī
faras-e-umr hī apnā hai bahut sust qadam
varna 'ehsān' pe thoḌī sī masāfat kyā thī
baat ab aai samajh mein ki haqiqat kya thi
ek jazbaat ki shiddat thi mohabbat kya thi
ab ye jaana ki wo din-raat ke shikwe kya the
ab ye malum hua wajh-e-shikayat kya thi
koi ek shoKH ishaara hi bahut tha ai dost
itne sanjida tabassum ki zarurat kya thi
mazarat thi wo faqat apni ghalat-bini ki
jis pe nazan the bahut hum wo basirat kya thi
halqa-e-zulf-e-rasa us ke liye kafi tha
tere diwane ko zanjir ki hajat kya thi
ye usi ka hai natija ki tahi-dast rahe
har khilaune pe lapakne ki zarurat kya thi
faras-e-umr hi apna hai bahut sust qadam
warna 'ehsan' pe thoDi si masafat kya thi
Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab
Leave a comment