Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ehsan Danish

  • Ghazal


bichhaD kar un se yun gham mein guzari zindagi humne


bichhaḌ kar un se yuuñ ġham meñ guzārī zindagī ham ne
sahar tārīk dekhī surḳh paa.ī chāñdnī ham ne

hameñ da.avā nahīñ tanhā nibāhī dostī ham ne
mohabbat ko sambhālā hai kabhī tum ne kabhī ham ne

ḳhushī ġham meñ nazar aa.ī ḳhushī meñ ġham nazar aayā
abhī duniyā pe Daalī thī nigāh-e-sarsarī ham ne

baḌī bechārgī niklī bahut hī nārasī paa.ī
azal ke roz baḌh kar le to lī thī bandagī ham ne

jahāñ sāz-e-mohabbat par muġhannī gā nahīñ saktā
vahāñ naġhma alāpā hai kabhī tum ne kabhī ham ne

tumheñ hoge nigāh-e-shauq kā markaz tumhīñ hoge
agar is zindagī ke ba.ad paa.ī zindagī ham ne

hamāre sāmne har-vaqt anjām-e-shikāyat thī
kahī ko an-kahī kar dī sunī ko an-sunī ham ne

bharegī is meñ rañg 'ehsān' duniyā inqilāboñ se
lahū se apne ik tasvīr aisī khīñch diiñ ham ne

bichhaD kar un se yun gham mein guzari zindagi hum ne
sahar tarik dekhi surKH pai chandni hum ne

hamein dawa nahin tanha nibahi dosti hum ne
mohabbat ko sambhaala hai kabhi tum ne kabhi hum ne

KHushi gham mein nazar aai KHushi mein gham nazar aaya
abhi duniya pe Dali thi nigah-e-sarsari hum ne

baDi bechaargi nikli bahut hi narasi pai
azal ke roz baDh kar le to li thi bandagi hum ne

jahan saz-e-mohabbat par mughanni ga nahin sakta
wahan naghma alapa hai kabhi tum ne kabhi hum ne

tumhein hoge nigah-e-shauq ka markaz tumhin hoge
agar is zindagi ke baad pai zindagi hum ne

hamare samne har-waqt anjam-e-shikayat thi
kahi ko an-kahi kar di suni ko an-suni hum ne

bharegi is mein rang 'ehsan' duniya inqilabon se
lahu se apne ek taswir aisi khinch din hum ne


Source: Book : Ghazaliyat-e-ahsaan Danish (Pg. 331) Author : Shabnam Parveen Publication : Asghar Publishers (2006) Edition : 2006

Leave a comment

+