Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yaqoob Parwaz

  • Ghazal


samjhe hain misl-e-kah mujhe marte hain log


samjhe haiñ misl-e-kāh mujhe mārte haiñ log
kitne haiñ kam-nigāh mujhe mārte haiñ log

itnā bhī ehtijāj gavārā nahīñ unheñ
bhartā huuñ jab bhī aah mujhe mārte haiñ log

maanā ki tere adl kā Dañkā hai chaar sū
lekin ai kaj-kulāh mujhe mārte haiñ log

tai hai ki phir girā diyā jā.uñgā chaah meñ
pahle barūn-e-chāh mujhe mārte haiñ log

yuuñ bhī faroġh dete haiñ apne daroġh ko
lā kar koī gavāh mujhe mārte haiñ log

samjhe hain misl-e-kah mujhe marte hain log
kitne hain kam-nigah mujhe marte hain log

itna bhi ehtijaj gawara nahin unhen
bharta hun jab bhi aah mujhe marte hain log

mana ki tere adl ka Danka hai chaar su
lekin ai kaj-kulah mujhe marte hain log

tai hai ki phir gira diya jaunga chah mein
pahle barun-e-chah mujhe marte hain log

yun bhi farogh dete hain apne darogh ko
la kar koi gawah mujhe marte hain log


Leave a comment

+