Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ehqar Jhanswi

  • Ghazal


aazadi-e-KHayal ki wusat ko dekhiye


āzādī-e-ḳhayāl kī vus.at ko dekhiye
rah kar zamīñ pe karte haiñ baat āsmāñ se ham

jiine kī kuchh ḳhushī hai na marne kā koī ḳhauf
āzād is tarah hue har do-jahāñ se ham

ġhālib hai dil pe josh o zauq-e-suḳhan mire
darja meñ kam nahīñ kisī ātish-zabāñ se ham

sattar baras kī umr javānoñ se baḌh ke josh
is raaz ko chhupā.e haiñ ahl-e-jahāñ se ham

ahbāb nukta-sanj suḳhan-dāñ chale ga.e
'ahqar' haiñ ab lage faqat hindostāñ se ham

aazadi-e-KHayal ki wusat ko dekhiye
rah kar zamin pe karte hain baat aasman se hum

jine ki kuchh KHushi hai na marne ka koi KHauf
aazad is tarah hue har do-jahan se hum

ghaalib hai dil pe josh o zauq-e-suKHan mere
darja mein kam nahin kisi aatish-zaban se hum

sattar baras ki umr jawanon se baDh ke josh
is raaz ko chhupae hain ahl-e-jahan se hum

ahbab nukta-sanj suKHan-dan chale gae
'ahqar' hain ab lage faqat hindostan se hum


Leave a comment

+