Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dushyant Kumar

  • Ghazal


ek guDiya ki kai kaTh-putliyon mein jaan hai


ek guḌiyā kī ka.ī kaTh-putliyoñ meñ jaan hai
aaj shā.ir ye tamāsha dekh kar hairān hai

ḳhaas saḌkeñ band haiñ tab se marammat ke liye
ye hamāre vaqt kī sab se sahī pahchān hai

ek būḌhā aadmī hai mulk meñ yā yuuñ kaho
is añdherī koTharī meñ ek raushan-dān hai

maslahat-āmez hote haiñ siyāsat ke qadam
tū na samjhegā siyāsat tū abhī nādān hai

kal numā.ish meñ milā vo chīthḌe pahne hue
maiñ ne pūchhā naam to bolā ki hindustān hai

ek guDiya ki kai kaTh-putliyon mein jaan hai
aaj shair ye tamasha dekh kar hairan hai

KHas saDken band hain tab se marammat ke liye
ye hamare waqt ki sab se sahi pahchan hai

ek buDha aadmi hai mulk mein ya yun kaho
is andheri koThari mein ek raushan-dan hai

maslahat-amez hote hain siyasat ke qadam
tu na samjhega siyasat tu abhi nadan hai

kal numaish mein mila wo chithDe pahne hue
main ne puchha nam to bola ki hindustan hai


Leave a comment

+