Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dua Ali

  • Ghazal


sunta nahin hai dil to us bewafa ki baaten


suntā nahīñ hai dil to us bevafā kī bāteñ
kal par uThā ke rakkho us bevafā kī bāteñ

dil hai udaas ab to is tazkire ko badlo
kyoñ ho musir ki sun lo us bevafā kī bāteñ

aaj us ne hai rulāyā ham ko bahut satāyā
ham se na karnā ab to us bevafā kī bāteñ

TuuTe haiñ ḳhvāb mere ab dafn in ko kar do
dohrā bhī kyoñ rahe ho us bevafā kī bāteñ

ham ko sameTnā haiñ ab dil kī kirchiyāñ bhī
toḌā hai dil ko dekho us bevafā kī bāteñ

us kī judā.ī kaise ab ham 'duā' saheñge
kuchh der phir se kar lo us bevafā kī bāteñ

sunta nahin hai dil to us bewafa ki baaten
kal par uTha ke rakkho us bewafa ki baaten

dil hai udas ab to is tazkire ko badlo
kyon ho musir ki sun lo us bewafa ki baaten

aaj us ne hai rulaya hum ko bahut sataya
hum se na karna ab to us bewafa ki baaten

TuTe hain KHwab mere ab dafn in ko kar do
dohra bhi kyon rahe ho us bewafa ki baaten

hum ko sameTna hain ab dil ki kirchiyan bhi
toDa hai dil ko dekho us bewafa ki baaten

us ki judai kaise ab hum 'dua' sahenge
kuchh der phir se kar lo us bewafa ki baaten


Leave a comment

+