Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dua Ali

  • Ghazal


na hum ab yaad mein uski kabhi aansu bahaenge


na ham ab yaad meñ us kī kabhī aañsū bahā.enge
na us ke chhoḌ jaane par kabhī ḳhud ko rulā.enge

hameñ bhī ruuTh jaane kā hunar to ḳhuub aatā hai
agar vo had se baḌh kar jān-e-jāñ ham ko satā.eñge

hameñ kab zeb detā hai ki aañsū un ko dikhlā.eñ
ham apnī dāstān-e-ġham unheñ hañs kar sunā.eñge

añdheroñ se vo Darte haiñ hameñ ma.alūm hai ye bhī
diye ham rāste meñ un ke har shab ko jalā.eñge

duā ham roz karte haiñ 'duā' par hai yaqīñ ham ko
hameñ kāmil yaqīñ hai lauT kar ik din vo ā.eñge

na hum ab yaad mein us ki kabhi aansu bahaenge
na us ke chhoD jaane par kabhi KHud ko rulaenge

hamein bhi ruTh jaane ka hunar to KHub aata hai
agar wo had se baDh kar jaan-e-jaan hum ko sataenge

hamein kab zeb deta hai ki aansu un ko dikhlaen
hum apni dastan-e-gham unhen hans kar sunaenge

andheron se wo Darte hain hamein malum hai ye bhi
diye hum raste mein un ke har shab ko jalaenge

dua hum roz karte hain 'dua' par hai yaqin hum ko
hamein kaamil yaqin hai lauT kar ek din wo aaenge


Leave a comment

+