Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yaqoob Parwaz

  • Ghazal


rahzan hun ki rahnuma hun main


rāhzan huuñ ki rahnumā huuñ maiñ
kaun jaane ki asl kyā huuñ maiñ

vo jo ibrat kā ik nishāñ Thahre
baaġh vāloñ ko jāntā huuñ maiñ

mujh se ḳhalq-e-ḳhudā laraztī hai
kis nauiyat kā pārsā huuñ maiñ

sādgī ko bhī jis pe rashk aa.e
is takalluf kī intihā huuñ maiñ

kis ne dekhā ye dekhnā merā
dil kī āñkhoñ se dekhtā huuñ maiñ

bheḌiye kī nigāh hai jin par
aisī bheḌoñ ko hāñktā huuñ maiñ

rahzan hun ki rahnuma hun main
kaun jaane ki asl kya hun main

wo jo ibrat ka ek nishan Thahre
bagh walon ko jaanta hun main

mujh se KHalq-e-KHuda larazti hai
kis nauiyat ka parsa hun main

sadgi ko bhi jis pe rashk aae
is takalluf ki intiha hun main

kis ne dekha ye dekhna mera
dil ki aankhon se dekhta hun main

bheDiye ki nigah hai jin par
aisi bheDon ko hankta hun main


Leave a comment

+