Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dua Ali

  • Ghazal


dahliz par meri koi aaya hai barson baad


dahlīz par mirī koī aayā hai barsoñ ba.ad
halchal sī dil meñ koī to laayā hai barsoñ ba.ad

armān dil meñ mere na.e jāgne lage
āñgan ko chāñdnī ne sajāyā hai barsoñ ba.ad

āñkhoñ meñ merī ḳhvāb haiñ taaza saje hue
tābīr-e-ḳhvāb le ke vo aayā hai barsoñ ba.ad

palkoñ pe merī jalne lage diip kuchh na.e
mere laboñ ne giit ye gaayā hai barsoñ ba.ad

phir shāḳh-e-dil pe gul na.e ummīd ke khile
mausam bahār-e-tāza kā aayā hai barsoñ ba.ad

tanhā.ī merī baañT lī hai us ne pyaar se
naam aaj le ke us ne bulāyā hai barsoñ ba.ad

us ne bhī TuuT kar hameñ chāhā bahut 'duā'
ham ne bhī qurb us kā yuuñ paayā hai barsoñ ba.ad

dahliz par meri koi aaya hai barson baad
halchal si dil mein koi to laya hai barson baad

arman dil mein mere nae jagne lage
aangan ko chandni ne sajaya hai barson baad

aankhon mein meri KHwab hain taza saje hue
tabir-e-KHwab le ke wo aaya hai barson baad

palkon pe meri jalne lage dip kuchh nae
mere labon ne git ye gaya hai barson baad

phir shaKH-e-dil pe gul nae ummid ke khile
mausam bahaar-e-taza ka aaya hai barson baad

tanhai meri banT li hai us ne pyar se
nam aaj le ke us ne bulaya hai barson baad

us ne bhi TuT kar hamein chaha bahut 'dua'
hum ne bhi qurb us ka yun paya hai barson baad

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Dua Ali

Leave a comment

+