Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dua Ali

  • Ghazal


kajal udas hai to hain be-kal si chuDiyan


kājal udaas hai to haiñ be-kal sī chūḌiyāñ
tum ko bulā rahī haiñ ye chanchal sī chūḌiyāñ

sāvan kī mujh ko pyaas hai pyāsī huuñ misl ret
tujh par baras rahī haiñ ye bādal sī chūḌiyāñ

kartī haiñ ḳhuub shor na sone ye mujh ko deñ

dīvānī ho ga.ī haiñ ye pāgal sī chūḌiyāñ

dekho khanak rahī haiñ ye ḳhāmoshiyoñ meñ bhī
āñkhoñ meñ saj rahī haiñ ye jal-thal sī chūḌiyāñ

pal pal ye chhū rahī haiñ mirā jism aur badan
kartī haiñ mujh ko tañg ye sāñval sī chūḌiyāñ

ai shāh-e-dil suhāg nishānī hamārī haiñ
pyārī haiñ mujh ko jaan se purple sī chūḌiyāñ

ḳhushbū mire badan kī churātī haiñ roz-o-shab
dekho 'duā' kamāl haiñ sandal sī chūḌiyāñ

kajal udas hai to hain be-kal si chuDiyan
tum ko bula rahi hain ye chanchal si chuDiyan

sawan ki mujh ko pyas hai pyasi hun misl ret
tujh par baras rahi hain ye baadal si chuDiyan

karti hain KHub shor na sone ye mujh ko den

diwani ho gai hain ye pagal si chuDiyan

dekho khanak rahi hain ye KHamoshiyon mein bhi
aankhon mein saj rahi hain ye jal-thal si chuDiyan

pal pal ye chhu rahi hain mera jism aur badan
karti hain mujh ko tang ye sanwal si chuDiyan

ai shah-e-dil suhag nishani hamari hain
pyari hain mujh ko jaan se purple si chuDiyan

KHushbu mere badan ki churaati hain roz-o-shab
dekho 'dua' kamal hain sandal si chuDiyan


Leave a comment

+