Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dr. Naresh

  • Ghazal


ek wahi shaKHs jise rahat-e-jaan kahta hun


ik vahī shaḳhs jise rāhat-e-jāñ kahtā huuñ
haañ usī shaḳhs ko maiñ jī kā ziyāñ kahtā huuñ

munsif-e-shahr us āvāz se Dar jaatā hai
maiñ jise ġhoġha-e-āvāz-e-sagāñ kahtā huuñ

sar use kahtā huuñ jis meñ ho shahādat kā junūñ
haq-goī par jo kaTe us ko zabāñ kahtā huuñ

vaa.e taqdīr vo jis baat pe kahte haiñ nahīñ
be-irāda maiñ usī baat pe haañ kahtā huuñ

ai 'naresh' aap jise tarz-e-bayāñ kahte haiñ
maiñ use aap kā andāz-e-fuġhāñ kahtā huuñ

ek wahi shaKHs jise rahat-e-jaan kahta hun
han usi shaKHs ko main ji ka ziyan kahta hun

munsif-e-shahr us aawaz se Dar jata hai
main jise ghogha-e-awaz-e-sagan kahta hun

sar use kahta hun jis mein ho shahadat ka junun
haq-goi par jo kaTe us ko zaban kahta hun

wae taqdir wo jis baat pe kahte hain nahin
be-irada main usi baat pe han kahta hun

ai 'naresh' aap jise tarz-e-bayan kahte hain
main use aap ka andaz-e-fughan kahta hun


Source:

Leave a comment

+