Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dr. Naresh

  • Ghazal


wo jo mahfil mein KHub hansta tha


vo jo mahfil meñ ḳhuub hañstā thā
haa.e vo shaḳhs kitnā tanhā thā

chup kā ye tajraba bhī kaisā thā
saarā ghar saa.eñ saa.eñ kartā thā

tum se rūThā to thā zarūr magar
ḳhud se Dar kar maiñ ghar se bhāgā thā

jitne aañsū the mere apne the
aur har qahqaha parāyā thā

husn kyā zehn kī zarūrat thī
ishq kyā jism kā taqāzā thā

pak chukī fasl kaaT ab is ko
khet vahmoñ kā tū ne boyā thā

tum ne jis kī duā.eñ māñgī thiiñ
abr vo parbatoñ pe barsā thā

mere andar kā maiñ visāl kī shab
mujh se bhī tez tez dauḌā thā

haa.e vo din 'naresh' jab us ne
ḳhat na likhiye ye ḳhat meñ likkhā thā

wo jo mahfil mein KHub hansta tha
hae wo shaKHs kitna tanha tha

chup ka ye tajraba bhi kaisa tha
sara ghar saen saen karta tha

tum se ruTha to tha zarur magar
KHud se Dar kar main ghar se bhaga tha

jitne aansu the mere apne the
aur har qahqaha paraya tha

husn kya zehn ki zarurat thi
ishq kya jism ka taqaza tha

pak chuki fasl kaT ab is ko
khet wahmon ka tu ne boya tha

tum ne jis ki duaen mangi thin
abr wo parbaton pe barsa tha

mere andar ka main visal ki shab
mujh se bhi tez tez dauDa tha

hae wo din 'naresh' jab us ne
KHat na likhiye ye KHat mein likkha tha


Source:

Leave a comment

+