Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dr. Naresh

  • Ghazal


baat jo ki thi dil-lagi ke liye


baat jo kī thī dil-lagī ke liye
ban ga.ī baar zindagī ke liye

tere jaane ke baad barsoñ tak
lab taraste rahe hañsī ke liye

terī aamad kā gar yaqīñ hotā
aur jī lete ik ghaḌī ke liye

ḳhūn-e-dil pī ke muskurāte raho
ye bhī lāzim hai zindagī ke liye

ziist se kab ke aa chuke aajiz
jī rahe haiñ magar kisī ke liye

tan ke maare se kuchh nahīñ hogā
man ko maaro qalandarī ke liye

dard ġham rañj aah naala fuġhāñ
ai 'naresh' ek aap hī ke liye

baat jo ki thi dil-lagi ke liye
ban gai bar zindagi ke liye

tere jaane ke baad barson tak
lab taraste rahe hansi ke liye

teri aamad ka gar yaqin hota
aur ji lete ek ghaDi ke liye

KHun-e-dil pi ke muskuraate raho
ye bhi lazim hai zindagi ke liye

zist se kab ke aa chuke aajiz
ji rahe hain magar kisi ke liye

tan ke mare se kuchh nahin hoga
man ko maro qalandari ke liye

dard gham ranj aah nala fughan
ai 'naresh' ek aap hi ke liye


Source:

Leave a comment

+