tire firāq meñ jab bhī bahār guzrī hai
hameñ rulā ke lahū baar baar guzrī hai
panāh ḳhudā kī hasīnoñ kī bad-mizājī se
mirī duā bhī unheñ nāgavār guzrī hai
tamām raat sitāroñ ke saath royā huuñ
na pūchh kaise shab-e-intizār guzrī hai
tirā nasīb agar tū ne pī nahīñ zāhid
bahār varna baḌī pur-bahār guzrī hai
ham apne dard ko ro.eñ to kis liye āḳhir
shab-e-firāq kise sāzgār guzrī hai
kisī kī yaad meñ ham ko 'naresh' taḌpā kar
uThā ke hashr nasīm-e-bahār guzrī hai
tere firaq mein jab bhi bahaar guzri hai
hamein rula ke lahu bar bar guzri hai
panah KHuda ki hasinon ki bad-mizaji se
meri dua bhi unhen nagawar guzri hai
tamam raat sitaron ke sath roya hun
na puchh kaise shab-e-intizar guzri hai
tera nasib agar tu ne pi nahin zahid
bahaar warna baDi pur-bahaar guzri hai
hum apne dard ko roen to kis liye aaKHir
shab-e-firaq kise sazgar guzri hai
kisi ki yaad mein hum ko 'naresh' taDpa kar
uTha ke hashr nasim-e-bahaar guzri hai
Source:
Leave a comment