Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dr. Naresh

  • Ghazal


unhen mujhse go kuchh shikayat nahin hai


unheñ mujh se go kuchh shikāyat nahīñ hai
ġhazab hai ki phir bhī ināyat nahīñ hai

pilā de mujhe apne hāthoñ se saaqī
saḳhāvat meñ koī nadāmat nahīñ hai

sitam jāñ-nisāroñ pe din raat karnā
mohabbat nahīñ hai muravvat nahīñ hai

uf itnā takabbur ḳhudā.ī kā da.avā
buto tum ko ḳhauf-e-qayāmat nahīñ hai

kareñ āh-o-fariyād kyā ham qafas meñ
ki āh-o-fuġhāñ kī ijāzat nahīñ hai

azal se butoñ kī parastish hai hotī
nayā ye tarīq-e-ibādat nahīñ hai

'naresh' un ke zulmoñ kā shikva na hogā
ki fariyād kī mujh ko aadat nahīñ hai

unhen mujh se go kuchh shikayat nahin hai
ghazab hai ki phir bhi inayat nahin hai

pila de mujhe apne hathon se saqi
saKHawat mein koi nadamat nahin hai

sitam jaan-nisaron pe din raat karna
mohabbat nahin hai murawwat nahin hai

uf itna takabbur KHudai ka dawa
buto tum ko KHauf-e-qayamat nahin hai

karen aah-o-fariyaad kya hum qafas mein
ki aah-o-fughan ki ijazat nahin hai

azal se buton ki parastish hai hoti
naya ye tariq-e-ibaadat nahin hai

'naresh' un ke zulmon ka shikwa na hoga
ki fariyaad ki mujh ko aadat nahin hai


Source:

Leave a comment

+