ġham hai āzār hai aziyyat hai
ek dil hai hazār aafat hai
husn rañgīni-e-hayāt sahī
ishq bhī aadmī kī fitrat hai
aaj allāh ko jāntā hai kaun
ḳhvāhish-o-hirs kī ibādat hai
terī kāfir adāoñ ko qātil
teġh-o-ḳhanjar kī kyā zarūrat hai
kuchh to farmā.iyegā banda-navāz
ḳhāmushī aap kī qayāmat hai
daur-e-hāzir ke aadmī kā chalan
bā.is-e-nañg-e-ādamiyat hai
ḳhuun din raat ro rahe haiñ 'naresh'
kyā yahī hāsil-e-mohabbat hai
gham hai aazar hai aziyyat hai
ek dil hai hazar aafat hai
husn rangini-e-hayat sahi
ishq bhi aadmi ki fitrat hai
aaj allah ko jaanta hai kaun
KHwahish-o-hirs ki ibaadat hai
teri kafir adaon ko qatil
tegh-o-KHanjar ki kya zarurat hai
kuchh to farmaiyega banda-nawaz
KHamushi aap ki qayamat hai
daur-e-hazir ke aadmi ka chalan
bais-e-nang-e-adamiyat hai
KHun din raat ro rahe hain 'naresh'
kya yahi hasil-e-mohabbat hai
Source:
Leave a comment