Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dr. Azam

  • Ghazal


meri miTTi mein jab na tha patthar


merī miTTī meñ jab na thā patthar
kaise kah duuñ ki hai ḳhudā patthar

sho.ala-e-ishq kā asar tauba
mom jaisā pighal gayā patthar

jab bhī bazm-e-ḳhirad meñ aayā maiñ
aql par merī paḌ gayā patthar

gul bichhā.ūñ maiñ tere qadmoñ meñ
merī rāhoñ meñ tū bichhā patthar

rāh-e-haq meñ yaqīn thā ham par
sirf barseñge iiñT yā patthar

lad gayā jab shajar phaloñ se koī
us pe sab ne uThā diyā patthar

log toḌeñge baar baar use
shīsha-e-dil ko tū banā patthar

narm rassī se ghis na jaa.e jo
mujh ko aisā nahīñ milā patthar

dostoñ ke hadaf pe hai 'āzam'
ab vo barsā.eñ phuul yā patthar

meri miTTi mein jab na tha patthar
kaise kah dun ki hai KHuda patthar

shoala-e-ishq ka asar tauba
mom jaisa pighal gaya patthar

jab bhi bazm-e-KHirad mein aaya main
aql par meri paD gaya patthar

gul bichhaun main tere qadmon mein
meri rahon mein tu bichha patthar

rah-e-haq mein yaqin tha hum par
sirf barsenge inT ya patthar

lad gaya jab shajar phalon se koi
us pe sab ne uTha diya patthar

log toDenge bar bar use
shisha-e-dil ko tu bana patthar

narm rassi se ghis na jae jo
mujh ko aisa nahin mila patthar

doston ke hadaf pe hai 'azam'
ab wo barsaen phul ya patthar


Leave a comment

+