Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dr. Azam

  • Ghazal


bulana aur na jaana chahta hun


bulānā aur na jaanā chāhtā huuñ
marāsim bhī nibhānā chāhtā huuñ

tirī qurbat se kuchh lamhe churā kar
maiñ apne paas aanā chāhtā huuñ

kahāñ ye tai nahīñ kar paayā lekin
kahīñ maiñ bhaag jaanā chāhtā huuñ

kisī din gardish-e-ayyām ko bhī
maiñ uñglī par nachānā chāhtā huuñ

zarūrat to nahīñ tū hai zarūrī
tujhe apnā banānā chāhtā huuñ

bahut sahrā-navardī ho chukī ab
Thikāne kā Thikānā chāhtā huuñ

asar kartī nahīñ hai narm-goī
maiñ ab na.are lagānā chāhtā huuñ

bulana aur na jaana chahta hun
marasim bhi nibhana chahta hun

teri qurbat se kuchh lamhe chura kar
main apne pas aana chahta hun

kahan ye tai nahin kar paya lekin
kahin main bhag jaana chahta hun

kisi din gardish-e-ayyam ko bhi
main ungli par nachana chahta hun

zarurat to nahin tu hai zaruri
tujhe apna banana chahta hun

bahut sahra-nawardi ho chuki ab
Thikane ka Thikana chahta hun

asar karti nahin hai narm-goi
main ab nare lagana chahta hun


Leave a comment

+