Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dr Amir Riyaz

  • Ghazal


maine tufan se pahle ka ishaara dekha


maiñ ne tūfān se pahle kā ishāra dekhā
un kī añgḌā.ī kā jab shoḳh nazāra dekhā

apnī qismat ko kiyā maiñ ne havāle us ke
us ne jaate hue muḌ kar jo dobāra dekhā

maiñ ne har phuul meñ paa.ī hai tumhārī ḳhushbū
ya.anī har chehre meñ bas chehra tumhārā dekhā

ham to bas aaj talak tere hī shaidā.ī haiñ
tum ne sab dekhā magar dil na hamārā dekhā

lauT aate the usī ġham kī taraf ham phir se
jab bhī chāhat kā tirī ham ne kināra dekhā

mere chehre kī ibādat pe na jaanā 'āmir'
maiñ ne fāqoñ pe bhī hai kar ke guzāra dekhā

main ne tufan se pahle ka ishaara dekha
un ki angDai ka jab shoKH nazara dekha

apni qismat ko kiya main ne hawale us ke
us ne jate hue muD kar jo dobara dekha

main ne har phul mein pai hai tumhaari KHushbu
yani har chehre mein bas chehra tumhaara dekha

hum to bas aaj talak tere hi shaidai hain
tum ne sab dekha magar dil na hamara dekha

lauT aate the usi gham ki taraf hum phir se
jab bhi chahat ka teri hum ne kinara dekha

mere chehre ki ibaadat pe na jaana 'amir'
main ne faqon pe bhi hai kar ke guzara dekha


Leave a comment

+