Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Diya Jeem

  • Ghazal


tumhein is dil se kya aadi hua hai


tumheñ is dil se kyā aadī huā hai
ki jalne kā diyā aadī huā hai

use niiñd aa.e bhī to kaise aa.e
vo mere ḳhvāb kā aadī huā hai

vo aa.e to fazā.eñ jhūmtī haiñ
kisī kā rāsta aadī huā hai

kahā rotā hai kyuuñ dil ko sambhālo
to hañs kar ye kahā aadī huā hai

zamāne ko na jaane ye huā kyā
zamāna aap kā aadī huā hai

tumhein is dil se kya aadi hua hai
ki jalne ka diya aadi hua hai

use nind aae bhi to kaise aae
wo mere KHwab ka aadi hua hai

wo aae to fazaen jhumti hain
kisi ka rasta aadi hua hai

kaha rota hai kyun dil ko sambhaalo
to hans kar ye kaha aadi hua hai

zamane ko na jaane ye hua kya
zamana aap ka aadi hua hai


Leave a comment

+