kyā huā ham se jo duniyā bad-gumāñ hone lagī
apnī hastī aur bhī nazdīk-e-jāñ hone lagī
dhīre dhīre sar meñ aa kar bhar gayā barsoñ kā shor
rafta rafta ārzu-e-dil dhuāñ hone lagī
baaġh se aa.e ho merā ghar bhī chal kar dekh lo
ab bahāroñ ke dinoñ meñ bhī ḳhizāñ hone lagī
chand logoñ kī farāġhat shahr kā chehra nahīñ
ye haqīqat sab ke chehroñ se ayaañ hone lagī
yaad hai ab tak kisī ke saath ik shām-e-visāl
phir vo rāteñ jab dam-e-ruḳhsat azaañ hone lagī
bād-e-nafrat phir mohabbat ko zabāñ darkār hai
phir azīz-e-jāñ vahī urdu zabāñ hone lagī
zikr tūfān-e-havādis kā chhiḌā jo ek din
hote hote dāstāñ merī bayāñ hone lagī
saḳht manzil kaaT kar ham jab hue kuchh sust-pā
tez-rau kuchh aur bhī umr-e-ravāñ hone lagī
chhū rahī hai āsmānoñ kī bulandī phir nazar
phir hamārī zindagī anjum-nishāñ hone lagī
lo yaqīñ aayā ki dil ke dard kī tāsīr hai
ab to ik ik chiiz ham se ham-zabāñ hone lagī
ghar kī mehnat se mirī raushan hue aivān-e-zar
raushnī honī kahāñ thī aur kahāñ hone lagī
sach kahūñ 'āmir' ki ab us daur meñ jiite ho tum
rasm-e-ulfat bhī jahāñ suud o ziyāñ hone lagī
kya hua hum se jo duniya bad-guman hone lagi
apni hasti aur bhi nazdik-e-jaan hone lagi
dhire dhire sar mein aa kar bhar gaya barson ka shor
rafta rafta aarzu-e-dil dhuan hone lagi
bagh se aae ho mera ghar bhi chal kar dekh lo
ab bahaaron ke dinon mein bhi KHizan hone lagi
chand logon ki faraghat shahr ka chehra nahin
ye haqiqat sab ke chehron se ayan hone lagi
yaad hai ab tak kisi ke sath ek sham-e-visal
phir wo raaten jab dam-e-ruKHsat azan hone lagi
baad-e-nafrat phir mohabbat ko zaban darkar hai
phir aziz-e-jaan wahi urdu zaban hone lagi
zikr tufan-e-hawadis ka chhiDa jo ek din
hote hote dastan meri bayan hone lagi
saKHt manzil kaT kar hum jab hue kuchh sust-pa
tez-rau kuchh aur bhi umr-e-rawan hone lagi
chhu rahi hai aasmanon ki bulandi phir nazar
phir hamari zindagi anjum-nishan hone lagi
lo yaqin aaya ki dil ke dard ki tasir hai
ab to ek ek chiz hum se ham-zaban hone lagi
ghar ki mehnat se meri raushan hue aiwan-e-zar
raushni honi kahan thi aur kahan hone lagi
sach kahun 'amir' ki ab us daur mein jite ho tum
rasm-e-ulfat bhi jahan sud o ziyan hone lagi
Leave a comment