apne jaisoñ se dostī kar lī
zindagī ham ne zindagī kar lī
sau tarīqe the ḳhud-kushī ke magar
ham bhī pāgal the āshiqī kar lī
vaqt aayā to ruuTh bhī baiTheñ
vaqt aayā to baat bhī kar lī
baaġh ke haal kā taqāzā thā
ek paude ne naukrī kar lī
paañv chhū kar buzurgoñ kā ham ne
pal meñ arsoñ kī bandagī kar lī
yaar karnā thā kuchh alag ham ko
leak se haT ke shā.irī kar lī
apne jaison se dosti kar li
zindagi hum ne zindagi kar li
sau tariqe the KHud-kushi ke magar
hum bhi pagal the aashiqi kar li
waqt aaya to ruTh bhi baiThen
waqt aaya to baat bhi kar li
bagh ke haal ka taqaza tha
ek paude ne naukri kar li
panw chhu kar buzurgon ka hum ne
pal mein arson ki bandagi kar li
yar karna tha kuchh alag hum ko
leak se haT ke shairi kar li
Leave a comment