Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dinesh Kumar Drouna

  • Ghazal


sans ka jhonka bhi ab tufan hota jaega


saañs kā jhoñkā bhī ab tūfān hotā jā.egā
har nafas thoḌā bahut nuqsān hotā jā.egā

chaap kānoñ se kisī kī duur jaatī jā.egī
rafta rafta ye badan be-jān hotā jā.egā

ajnabī logoñ kī dil par dhaak baḌhtī jā.egī
apne hī ghar meñ koī mehmān hotā jā.egā

pāsbānoñ ke havāle bastiyāñ hoñgī agar
jāgne kā raat bhar elaan hotā jā.egā

hijr kā aalam uḌā le jā.egā rañgat kahīñ
aur samundar suukh kar maidān hotā jā.egā

raat hone do yahāñ par barhanā.ī chhā.egī
vo havas meñ dekhnā haivān hotā jā.egā

sans ka jhonka bhi ab tufan hota jaega
har nafas thoDa bahut nuqsan hota jaega

chap kanon se kisi ki dur jati jaegi
rafta rafta ye badan be-jaan hota jaega

ajnabi logon ki dil par dhak baDhti jaegi
apne hi ghar mein koi mehman hota jaega

pasbanon ke hawale bastiyan hongi agar
jagne ka raat bhar elan hota jaega

hijr ka aalam uDa le jaega rangat kahin
aur samundar sukh kar maidan hota jaega

raat hone do yahan par barhanai chhaegi
wo hawas mein dekhna haiwan hota jaega


Leave a comment

+