Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dinesh Kumar Drouna

  • Ghazal


ek barsat mein maidan samundar hoga


ek barsāt meñ maidān samundar hogā
dard sochā nahīñ thā soch se baḌh kar hogā

vo jo aa.egā mire paas masīhā ban kar
us ke hāthoñ meñ mire naam kā ḳhanjar hogā

tez chalne se hai maqsūd ravānī sun lo
thak ke jo baiTh gayā miil kā patthar hogā

laakh lete raho hāthoñ kī talāshī mere
jo bhī andar hai mire zehn ke andar hogā

surḳh āñkhoñ kā kahāñ rañg huā kartā hai
ḳhuun meñ lipTe hue ḳhvāb kā manzar hogā

jo girā degā mujhe taash ke pattoñ kī tarah
merī ta.amīr meñ tujh sā koī patthar hogā

ek barsat mein maidan samundar hoga
dard socha nahin tha soch se baDh kar hoga

wo jo aaega mere pas masiha ban kar
us ke hathon mein mere nam ka KHanjar hoga

tez chalne se hai maqsud rawani sun lo
thak ke jo baiTh gaya mil ka patthar hoga

lakh lete raho hathon ki talashi mere
jo bhi andar hai mere zehn ke andar hoga

surKH aankhon ka kahan rang hua karta hai
KHun mein lipTe hue KHwab ka manzar hoga

jo gira dega mujhe tash ke patton ki tarah
meri tamir mein tujh sa koi patthar hoga


Leave a comment

+