Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yahya Khan Yusuf Zai

  • Ghazal


dil se nikal na paegi mauj-e-hawas ki bas


dil se nikal na pā.egī mauj-e-havas ki bas
is tarah khīñchtī hai ye tār-e-nafas ki bas

phir yuuñ huā ki raushnī nāzil huī vahāñ
phir dekhte hī khul gayā chaak qafas ki bas

maiñ barf kī chaTān huuñ tū garm-rau charāġh
mat pūchh mujh pe kyā hai tirī dastaras ki bas

dam-sāz to bahut haiñ koī shanās ho
koī tapish sī hai tah-e-mauj-e-nafas ki bas

sahrā mire mizāj kā hissa hai phir bhī aaj
ik abr-zād ne kiyā is tarah mas ki bas

dil se nikal na paegi mauj-e-hawas ki bas
is tarah khinchti hai ye tar-e-nafas ki bas

phir yun hua ki raushni nazil hui wahan
phir dekhte hi khul gaya chaak qafas ki bas

main barf ki chaTan hun tu garm-rau charagh
mat puchh mujh pe kya hai teri dastaras ki bas

dam-saz to bahut hain koi shanas ho
koi tapish si hai tah-e-mauj-e-nafas ki bas

sahra mere mizaj ka hissa hai phir bhi aaj
ek abr-zad ne kiya is tarah mas ki bas


Leave a comment

+