Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dinesh Kumar

  • Ghazal


kitab-e-zist se kuchh iqtibas taswiren


kitāb-e-zīst se kuchh iqtibās tasvīreñ
ḳhushī ke lamhoñ meñ detīñ miThās tasvīreñ

akele-pan bhī hamārā ye duur kartī hai
ki rakh ke dekho zarā apne paas tasvīreñ

kuchh aise rañg bharo jo samay se utre nahīñ
ye mū-qalam se kareñ iltimās tasvīreñ

ḳhudā ke paas ga.e jab se vāldain mire
mirī hayāt kī hai bas asaas tasvīreñ

sulagtī ret pa sāgar kā aks bhī dikhtā
lagātī dekhiye kyā kyā qayās tasvīreñ

guzishta vaqt meñ rahnā 'dinesh' chhoḌ bhī de
na baar baar tū ab dekh udaas tasvīreñ

kitab-e-zist se kuchh iqtibas taswiren
KHushi ke lamhon mein detin miThas taswiren

akele-pan bhi hamara ye dur karti hai
ki rakh ke dekho zara apne pas taswiren

kuchh aise rang bharo jo samay se utre nahin
ye mu-qalam se karen iltimas taswiren

KHuda ke pas gae jab se waldain mere
meri hayat ki hai bas asas taswiren

sulagti ret pa sagar ka aks bhi dikhta
lagati dekhiye kya kya qayas taswiren

guzishta waqt mein rahna 'dinesh' chhoD bhi de
na bar bar tu ab dekh udas taswiren


Leave a comment

+