Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dinesh Kumar

  • Ghazal


baad marne ke bhi duniya mein ho charcha mera


baad marne ke bhī duniyā meñ ho charchā merā
aisī shohrat kī bulandī ho Thikāna merā

maiñ huuñ ik prem pujārī ai mirī jān-e-hayāt
tū hai mandir tū kalīsā tū hī ka.aba merā

mere beTe kī nigāhoñ meñ haiñ kuchh ḳhvāb mire
zindagī us kī hai jiine kā sahārā merā

maut bhī chain se aatī hai kahāñ insāñ ko
zehn meñ gūñjtā hī rahtā hai merā merā

ab bhī rātoñ ko mirī niiñd uchaT jaatī hai
aah ik chāñd ko chhūne kā vo sapnā merā

an-kahī baat mirī kyā vo samajh pā.eñge
kyā mukammal kabhī ho pā.egā qissa merā

silvaTeñ vaqt kī paḌne hī lagīñ us pe 'dinesh'
tum ne dekhā hī kahāñ ġhaur se chehra merā

baad marne ke bhi duniya mein ho charcha mera
aisi shohrat ki bulandi ho Thikana mera

main hun ek prem pujari ai meri jaan-e-hayat
tu hai mandir tu kalisa tu hi kaba mera

mere beTe ki nigahon mein hain kuchh KHwab mere
zindagi us ki hai jine ka sahaara mera

maut bhi chain se aati hai kahan insan ko
zehn mein gunjta hi rahta hai mera mera

ab bhi raaton ko meri nind uchaT jati hai
aah ek chand ko chhune ka wo sapna mera

an-kahi baat meri kya wo samajh paenge
kya mukammal kabhi ho paega qissa mera

silwaTen waqt ki paDne hi lagin us pe 'dinesh'
tum ne dekha hi kahan ghaur se chehra mera


Source: Book : Word File Mail By Salim Saleem

Leave a comment

+