Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dilshad Naseem

  • Ghazal


aankhon aankhon mein guzari shab-e-hijran humne


āñkhoñ āñkhoñ meñ guzārī shab-e-hijrāñ ham ne
ashk rahne diye har shab pas-e-mizhgāñ ham ne

zindagī tujh se ibārat hai so terī ḳhātir
ziist kī rah meñ bichhā.īñ sadā kaliyāñ ham ne

saañs kī lai pe dhaḌaktā hai tumheñ dekh ke dil
dil ko dekhā hai ka.ī baar hī raqsāñ ham ne

mundamil zaḳhm hue the na hamāre dil ke
phir na.e ġham ko kiyā aaj hī mehmāñ ham ne

ḳhvāb āñkhoñ meñ koī kaise utar kar aatā
niiñd kā jabki liyā hī nahīñ ehsāñ ham ne

raat ro.e the bahut koī bahāna na banā
raat phir uThtā huā dekhā hai tūfāñ ham ne

bin bulā.e hī chalī aa.ī shab-e-ġham dekho
dekhā 'dilshād' ko phir aaj pareshāñ ham ne

aankhon aankhon mein guzari shab-e-hijran hum ne
ashk rahne diye har shab pas-e-mizhgan hum ne

zindagi tujh se ibarat hai so teri KHatir
zist ki rah mein bichhain sada kaliyan hum ne

sans ki lai pe dhaDakta hai tumhein dekh ke dil
dil ko dekha hai kai bar hi raqsan hum ne

mundamil zaKHm hue the na hamare dil ke
phir nae gham ko kiya aaj hi mehman hum ne

KHwab aankhon mein koi kaise utar kar aata
nind ka jabki liya hi nahin ehsan hum ne

raat roe the bahut koi bahana na bana
raat phir uThta hua dekha hai tufan hum ne

bin bulae hi chali aai shab-e-gham dekho
dekha 'dilshad' ko phir aaj pareshan hum ne


Leave a comment

+