Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dilshad Naseem

  • Ghazal


jagte rahna hai ab KHwab ki tabir talak


jāgte rahnā hai ab ḳhvāb kī ta.abīr talak
dard sahnā hai ye tiryāk kī tāsīr talak

is meñ saaya koī ban jaa.e to aa jaanā tum
ham yahīñ baiTheñge dīvār kī ta.amīr talak

aap ke saath bas ik shaam bitāne ke liye
daav pe dil kī lagā Daalī hai jāgīr talak

āsmāñ par jo sitāroñ kī thī mahfil is meñ
ham ne dekhī thī numāyāñ tirī tasvīr talak

aaj 'dilshād' ne phir ek ġhazal likh Daalī
silsila jā.egā 'ġhālib' se kabhī 'mīr' talak

jagte rahna hai ab KHwab ki tabir talak
dard sahna hai ye tiryak ki tasir talak

is mein saya koi ban jae to aa jaana tum
hum yahin baiThenge diwar ki tamir talak

aap ke sath bas ek sham bitane ke liye
daw pe dil ki laga Dali hai jagir talak

aasman par jo sitaron ki thi mahfil is mein
hum ne dekhi thi numayan teri taswir talak

aaj 'dilshad' ne phir ek ghazal likh Dali
silsila jaega 'ghaalib' se kabhi 'mir' talak


Leave a comment

+