Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dilshad Naseem

  • Ghazal


lagega na dil tera tanha meri jaan


lagegā na dil terā tanhā mirī jaañ
nahīñ tum ne lekin ye samjhā mirī jaañ

ye ā.īna hairat se taktā hai mujh ko
na jaane kiyā is pe biitā mirī jaañ

ye dil to hai kyā chiiz jaañ tujh ko detī
agar tū kabhī mujh se kahtā mirī jaañ

ki ham tum mileñge kisī bhī janam meñ
kabhī tum ne bhī sochā aisā mirī jaañ

vo sapnā thā yā phir mire paas the tum
koī tum sā mujh meñ thā mahkā mirī jaañ

mirā ishq dariyā ko tai kaise kartā
ghaḌā bhī thā bilkul hī kachchā mirī jaañ

tū ban ke muqaddar kā taara thā chamkā
abhī kal hī shab maiñ ne dekhā mirī jaañ

lagega na dil tera tanha meri jaan
nahin tum ne lekin ye samjha meri jaan

ye aaina hairat se takta hai mujh ko
na jaane kiya is pe bita meri jaan

ye dil to hai kya chiz jaan tujh ko deti
agar tu kabhi mujh se kahta meri jaan

ki hum tum milenge kisi bhi janam mein
kabhi tum ne bhi socha aisa meri jaan

wo sapna tha ya phir mere pas the tum
koi tum sa mujh mein tha mahka meri jaan

mera ishq dariya ko tai kaise karta
ghaDa bhi tha bilkul hi kachcha meri jaan

tu ban ke muqaddar ka tara tha chamka
abhi kal hi shab main ne dekha meri jaan


Leave a comment

+