Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dilawar Ali Aazar

  • Ghazal


hawa ne ism kuchh aisa paDha tha


havā ne ism kuchh aisā paḌhā thā
diyā dīvār par chalne lagā thā

maiñ sehr-e-ḳhvāb se uTThā to dekhā
koī khiḌkī meñ sūraj rakh gayā thā

khaḌā thā muntazir dahlīz par maiñ
mujhe ik saaya milne aa rahā thā

tire aane se ye uqda khulā hai
maiñ apne aap meñ rakkhā huā thā

sabhī lafzoñ se tasvīreñ banā.īñ
mirī poroñ meñ manzar reñgtā thā

mujhe tere irādoñ kī ḳhabar thī
so gahrī niiñd meñ bhī jāgtā thā

maiñ jab maidān ḳhālī kar ke aayā
mirā dushman akelā rah gayā thā

sabhī ke haath meñ patthar the 'āzar'
hamāre haath meñ ik ā.īnā thā

hawa ne ism kuchh aisa paDha tha
diya diwar par chalne laga tha

main sehr-e-KHwab se uTTha to dekha
koi khiDki mein suraj rakh gaya tha

khaDa tha muntazir dahliz par main
mujhe ek saya milne aa raha tha

tere aane se ye uqda khula hai
main apne aap mein rakkha hua tha

sabhi lafzon se taswiren banain
meri poron mein manzar rengta tha

mujhe tere iradon ki KHabar thi
so gahri nind mein bhi jagta tha

main jab maidan KHali kar ke aaya
mera dushman akela rah gaya tha

sabhi ke hath mein patthar the 'azar'
hamare hath mein ek aaina tha


Leave a comment

+