Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dilawar Ali Aazar

  • Ghazal


zamin apne hi mehwar se haT rahi hogi


zamīn apne hī mehvar se haT rahī hogī
vo din bhī duur nahīñ ziist chhaT rahī hogī

baḌhā rahā hai ye ehsās merī dhaḌkan ko
ghaḌī meñ suuī kī raftār ghaT rahī hogī

maiñ jaan lūñgā ki ab saañs ghuTne vaalā hai
hare daraḳht se jab shāḳh kaT rahī hogī

na.e safar pe ravāna kiyā gayā hai tumheñ
tumhāre paañv se dhartī lipaT rahī hogī

ġhalat kahā thā kisī ne ye gaañv vāloñ se
chalo ki shahr meñ ḳhairāt baT rahī hogī

falak kī samt uchhālī thī jal-parī maiñ ne
sitāre haath meñ le kar palaT rahī hogī

badan meñ phail rahī hai ye kā.enāt 'āzar'
hamārī aañkh kī putlī simaT rahī hogī

zamin apne hi mehwar se haT rahi hogi
wo din bhi dur nahin zist chhaT rahi hogi

baDha raha hai ye ehsas meri dhaDkan ko
ghaDi mein sui ki raftar ghaT rahi hogi

main jaan lunga ki ab sans ghuTne wala hai
hare daraKHt se jab shaKH kaT rahi hogi

nae safar pe rawana kiya gaya hai tumhein
tumhaare panw se dharti lipaT rahi hogi

ghalat kaha tha kisi ne ye ganw walon se
chalo ki shahr mein KHairaat baT rahi hogi

falak ki samt uchhaali thi jal-pari main ne
sitare hath mein le kar palaT rahi hogi

badan mein phail rahi hai ye kaenat 'azar'
hamari aankh ki putli simaT rahi hogi


Leave a comment

+